Brute Force Attack is working for Facebook ?

Agar aapke man mai bhi yeh question hai ki Brute Force attack se kisi Facebook account ko hack kiya ja sakta hai. Aap bilkul sahi jagah aye hai.

Yaha hum apko sab kuch clear kar denge ki Brute Force se kisi ke facebook account ko aaj ke time mai hack karna possible hai ya nahi.

Apko facebook hacking ke article mai Brute Force ke bare mai btaya gaya hai. Apko vaha yeh bhi btaya gaya tha ki kisi ke facebook account ko agar Brute Force se hack karne ki koshish ki jati hai tab victim ke facebook account mai mail send ho jata hai.

Yeh sab apko with proof dikhaya jayga . Brute Force attack wifi hacking ke liye use kiya ja sakta hai lekin aaj ke time mai Facebook hacking ke liye nahi work karta hai.

Note – This article is only for educational purpose. Don’t miss use your Knowledge and skills.

Also Read

Methods of Whatsapp hacking

Website Hacking

Social Engineering

What is Brute Force attack ?

Brute Force ke bare mai shayd apko pahle bhi pata hoga. Lekin hum apko yaha bata rahe hai. Brute Force attack mai kisi user ke account par bahut sare password ki list ko try kiya jata hai.

Brute Force attack bahut sare tools ki help se kiya ja sakta hai. Is attack mai ek password ki list ko hacker bnata hai. Password ki list ko hacker kisi ke facebook account ko hack karne ke liye use karta hai.

Apko yeh bahut jagah dekhne ko mil jata hai ki Brute Force se facebook account hack hote hai. Lekin aisa tabhi ho pata hai jab kuch password ke try karne par password mil jaye.

Lekin hum apko ek baat clear kar rahe hai aaj ke time mai koi bhi user itna easy password nahi rakhta hai ki kisi bhi password list mai asani se mil jaye.

Yeh attack karne ke liye aap python ki scripts ka use kar sakte hai. Hum apko yaha kuch tools ki help se yeh attack karke bata rahe hai.

Humne jab ek tool ki help se is attack ko perform kiya tab facebook account temporary disable nahi hua lekin jab dusra tool bhi use kiya tab account disable ho gaya.

Aisa isliye hua kyu ki ek hi time par bahut sare passwords kisi facebook account par try kiye gaye the. Isliye apko pahle hi bata diya gaya tha aaj ke time mai facebook hacking Brute Force se karna bewkufi hai.

Yeh sab apko isliye btaya ja raha hai. Kyoki abhi bhi bahut se logo ko doubt hai facebook account ko Brute Force attack se kaise hack karna hai.

Brute Force is working or not ?

Chaliye ab hum apko yeh bata rahe hai ki Brute Force attack kisi ke facebook account ko hack karne ke liye work karta hai ya nahi. Yeh sab dekhne se pahle aap yeh account dekh sakte hai jo open hai.

Aap dekh sakte hai yeh ek account hai. Aap timing dekh sakte hai apko image mai dekhne ko mil jayegi. Yeh account mai timing 5:13 hai. Isi account par bruteforce attack kiya gaya hai.

Yeh ek tool ki help se kiya gaya hai. Aise bahut sare tools apko easily mil jate hai. Aap kisi bhi tool se yeh attack jarur try kare. Apko khud hi confirm ho jayga.

Brute Force

Yeh ek dusre tool ki help se Brute Force attack ko kiya gaya hai. Yeh apko do alag alag tools ki help se yeh attack karke dikhaya gaya hai.

Aisa isliye apko btaya ja raha hai. Kyoki aap galat information ko collect mat karen. Aap is attack se kisi ke facebook account ko agar hack karne ki koshish karte hai.

Aise mai victim ke pass kuch is tarah ka mail chala jata hai. Aap khud hi dekh sakte hai. Aap timing check kar sakte hai. 5:13 par account open tha or 5:17 par mail a gaya tha.

Brute Force

Aap dekh sakte hai is tarah se mail a jata hai. Isliye apko pahle hi clear kar diya gaya tha ki Brute Force attack se kisi ke facebook account ko hack nahi kiya ja sakta hai.

Brute Force

Aap dekh sakte hai jab ahi facebook account ko open kiya gaya tab aise show ho jata hai. Facebook ki security ab update kar di gayi hai. Facebook ne password ki tries ki limit ko set kiya hua hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki ab apke doubt clear ho gaye honge. Kyo Brute Force attack se kisi ke facebook account ko hack nahi kiya ja sakta hai.

Agar aap kisi ke facebook account par yeh attack karte hai. Aise mai victim dubara se apni identity ko confirm karke apne account ko open kar sakta hai.

Isliye kisi ke facebook account ko is attack se hack nahi kiya ja sakta hai. Phle yeh attack work karta tha. Lekin jaise jaise technology badh rahi hai vaise hi security bhi badh rahi hai.

Yeh sab apko age pata chal jayga kaise har chij ko secure kiya ja raha hai. Hum apko sabhi chije with proff or with practical bata rahe hai.

Agar apko humare likhe articles pasand a rahe hai tab inhe share jarur karen taki koi bhi person kisi tarh ki miss understanding mai mat rahe.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*