What is PROXY and How to use PROXY SERVER?

Aaj is Article mai hum bat karege What is Proxy, Free Proxy ,Types of Proxy ke bare. Ethical Hacking mai apne kabhi na kabhi PROXY ke bare mai jarur suna hoga.

Chaliye iske bare mai jante hai. Iska use hacker apni identity chupane ke liye karte hai.Jjaise maan lijiye agar hacker ko kisi tarah ka attack karna hai

Veh chahta hai ki uska IP Address show nahi hona chahiye. Aise mai hacker iska use karta hai. Aisa nahi hai ki iska use karne se veh pakda nahi ja sakta hai.

PROXY

Agar veh koi illegal kaam karta hai. Jo cyber crime mai ata hai. Aise mai PROXY server hacker ka real IP Address show kar deta hai . Hacker ka Real Ip hota hai.

Lekin veh jab Internet par surfing karta hai. Tab veh chahe kisi bhi website par jaye. Uski request pahle server par jati hai bad mai Website par jati hai. Jis vajah se WEBSITE par hacker ka IP Address nahi jata hai.

Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge

PROXY CHAINING

Jab ek hacker ek se jada PROXY ko ek sath use karta hai. Tab veh PROXY Chaining kehlati hai. Jaise ek hacker jo India mai hai or uska target US ki koi Website hai. Aise mai veh alag alag Country ke SERVER ko ek sath use karke attack ko karta hai.

PROXY

Jaise India se request jati hai Iran, Iran se jati hai Iraq, Iraq se jati hai. Pakistan, pakistan se jati hai Afghanistan uske baad request jati hai. Targeted WEBSITE jis par attack karna hai.

Is tarah se PROXY Chaining karke hacker apni hacking ko karta hai. Tab veh asani se nahi pakda ja sakta hai. Lekin is tarah se PROXY Chaining bnane se Internet ki speed kam ho jati hai.

Why Hackers use PROXY ?

  • Iska use hacker apni Identity ko hide karne ke liye karte hai.
  • PROXY Chaining ka use karke hacker apni location ko bar bar badlne ke liye karte hai.
  • Hacker kisi Unathourized access ko lene ke liye bhi PROXY ka use karte hai

Kuch Websites hai jinka use karke agar hum kisi Website ko open karte hai. Tab Website par humara IP Address nahi show hoga balki us Website ka PROXY ka show hoga.

Jis Website ka hum use karte hai. Aisa nahi hai ki aap in Websites ka use karke kisi tarah ki Illegal Hacking karte hai. Tab aap trace nahi ho sakte hai iska use un websites ko open karne ke liye kiya jata hai

Jise india mai block kiya gaya hota hai. Isliye aap koi bhi Illegal hacking mat kare Inka use karke. Yeh aap apna Practical karke dekhne chahte hai tab aap in Websites ka use kar sakte hai.

Aap jis bhi Website ka use karte hai. Veh Website pahle kisi PROXY Server se connect karti hai. Apke Computer ko uske baad us Server ke through aap Internet surfing kar sakte hai. Or aise Websites ko open kar sakte hai jinhe India mai Block kiya gaya hota hai.

Also Read

Methods of Whatsapp Hacking

Methods of WifI Hacking

System Hacking How to hack Windows password?

Softwares For  PROXY

PROXY Switcher

Yeh ek aisa Software hai. Jiski help se hacker apni location ko bar bar change karta rehta hai. Apne Movies mai dekha hoga.

Ek hacker apni location ko kis tarah se bar bar change karta rehta hai. Yeh SOFTWARE aise hi kaam karta hai

PROXY

Yeh hacker ki location ko automatic change karta rehta hai. Ise PROXY  Bouncing bhi kaha jata hai. Yeh Software Password Protected SERVER mai bhi use kiya jata hai. Yeh Software hacker ke IP Address ko puri tarah se hide kar deta hai.

Proxyfier

yeh ek aisa SOFTWARE hai. Jise PROXY Chaining ke liye use kiya jata hai. Yeh SOFTWARE Firewall ko bypass kar deta hai. Proxyfier IP v6 ko bhi support karta hai. Yeh sabhi PROXY Protocols par use kiya ja sakta hai. Jaise Socks ,HTTP or HTTPS

Free PROXY

Apko Google par bahut sari Free SERVER Websites dekhne ko mil jati hai. Lekin veh apke IP ADDRESS ko puri tarah se Hide nahi karte hai. Ya Phir kuch SERVER sahi nahi hote hai.

Aap kabhi bhi in Free use mat kare. Jab tak apko inke bare mai ache se pata nahi ho. Kuch Website mai Free SERVER hai. Jo sahi se kaam karte hai lekin kuch hai jo kaam nahi karti hai. 

TOR BROWSER (ONION ROUTING)

TOR BROWSER ek aisa browser hai jiski help se hum agr kisi bhi WEBSITE ko open karte hai. Tab us Website par humara Real IP ADDRESS nahi jata hai balki koi or IP ADDRESS jata hai. 

Tor Browser mai IP ADDRESS ki layers hoti hai. Tab apki kisi bhi tarah ki request ek Ip Address se hokar nahi jati hai.

Veh bahut sare IP Address se hokar jati hai. Tor Browser ka use jadatar .onion websites ko open karne ke liye kiya jata hai.

Jadatar log TOR Browser ka use deep Web, Dark Web jaisi chijo ko open karne ke liye karte hai. Iske bare mai apko detail mai age bata diya jayga.

TAILS Operating system

Yeh ek aisa Operating System hai. Jo pura apke Real ip address par kaam nahi karta hai kisi or IP ADDRESS kaam karta hai. Tails OS Tor Network ko use karta hai or TOR Browser ki tarah hi kaam karta hai.

Aap Tails OS mai kuch bhi kaam karte hai. Apka IP address hmesha Hide hi rehta hai. Kyoki yeh TOR Network par kaam karta hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko PROXY SERVER ke bare mai ache se pata chal gaya hoga. Yeh Knowledge sirf Educational Purpose ke liye apko di gayi hai.

Aap iska miss use kabhi mat kare. Aisa nahi hai ki agar aap PROXY ka use karke kisi tarah ki illegal activity karte hai tab aap pakde nahi ja sakte hai

CEH ke bad bhi bahut kuch hai aise bhi methods hai. Jinka use karke aap kitne bhi SERVER ka use karte hai. Apka Real IP ADDRESS find kiya ja sakta hai. Iske bare mai apko age bata diya jayga.

Isliye aap apni Knowledge or skills ka galt use mat kare. Aap in sabka use Practical Knowledge lene ke liye kar sakte hai. Agar apko humari yeh post achi lage tab is blog ko subscribe jarur kare or post ko bhi share jarur karen

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*