What is DENIAL OF SERVICE (DOS) ATTACK ?

Aaj is article mai apke sare DOS Attack ke sare question ka answer apko mil jayga. Jaise What is DENIAL OF SERVICE Attack ,What is DOS Attack, What is DDOS Attack.

Denial of Service Attack ?

Apne kabhi na kabhi DENIAL OF SERVICE ATTACK ka naam jarur suna hoga. Apne kabhi na kabhi yeh jarur notice kiya hoga. Jab aap kisi WEBSITE ko open karte hai or veh down hoti hai.

Jis vajah se Website open hai nahi hoti hai iska ek reason DOS Attack bhi ho sakta hai. Is attack mai ek hacker kisi particular WEBSITE par us WEBSITE ki capacity se jada visitors ko ek sath bhej deta hai.

Jiski vajah se veh WEBSITE down ho jati hai or open nahi ho pati hai. DOS ATTACK illegal hacking mai ata hai.

DENIAL OF SERVICE jadatar Blackhat Hackers ke through hi kiya jata hai. Aisa nahi hai ki kisi bhi Website par DOS ATTACK kiya ja sakta hai. Jaise Facebookgoogle, Youtube par yeh attack easily nahi kiya ja sakta hai.

Badi badi Companies or Organization par DOS ATTACK karna asan nahi hota hai. Kyoki inke server jada visitors ane par bhi Overload nahi hote hai.

Note- This Post only for educational Purpose .Don’t miss use your Knowledge.

DENIAL OF SERVICE Attack working

Syn Flood

Ek client ka kisi server ke sath TCP connection bnane ke liye syn ka use hota hai. Syn word synchronize se liya gaya hai. Apke computer ka kisi bhi WEBSITE ya server se connection bnane ke liye three way handshake hona jaruri hota hai. Yeh TCP Protocol ke through hota hai .

DENIAL OF SERVICE

Jaise maan lijiye apne Computer par Google.com ko open kiya. Tab aise mai apke computer se Google.com ko ek syn message jata hai. Uske baad Google .com Syn-Ack apke computer tak vapis bhejta hai.

Uske baad apka Computer  Server ke through bheje gaye Acknowledgement ko accept karta hai. Iske baad apke Computer ka Connection Google.com se ban pata hai. Isi ka fayda hackers uthate hai.

Kyoki agar kisi WEBSITE par Syn ki request kisi WEBSITE ki capacity se jada ki jati hai. Tab DOS ATTACK hota hai.

Chaliye ise example ke through samjhte hai. Jaise maan lijiye ek hacker kisi WEBSITE par DENIAL OF SERVICE ATTACK karna chahta hai. Or targeted WEBSITE ki capacity ek time par 2000 users ki hai.

Aise mai hacker ek sath 2000 syn request targeted WEBSITE par bhej deta hai. Tab veh WEBSITE 2000 syn-ack ko send karegi

Agar us time par normal users us WEBSITE ko access karna chahta hai. Tab veh WEBSITE down ho jati hai. Kyoki jitni capacity WEBSITE ki hai utni ek Hacker ne ek sath hi send kar di hai.

Or WEBSITE syn-ack ek hi computer par bhejne mai busy hai. Tab veh normal users ko syn-ack nahi send kar sakti hai. Aise mai WEBSITE crash ho jati hai. ise syn-flood ATTACK bhi kaha jata hai.

ALSO READ

What is Carding ?

Methods of whatsapp Hacking?

What is System Hacking?

What is Social Engineering?

Ping Flood ATTACK

Ise Ping of death bhi kaha jata hai. Ping flood ATTACK  DENIAL OF SERVICE ATTACK ka ek type hai. Ping Flood ATTACK bahut asani se kiya ja sakta hai.

Jaise ki humne apko Footprinting mai btaya jayga ki Ping Command ka use kisi WEBSITE ya server se connectivity check karne ke liye kiya jata hai. Aise mai agar hum Ping command ka kisi particular WEBSITE ya server par bar bar use karte hai. Tab aise mai targeted WEBSITE ya to busy ho jati hai ya phir crash ho jati hai.

Ping (IP ADDRESS) -t -l 65000

Ping Flood ATTACK DOS ATTACK karne ke bahut hi easy way hai. Yeh Command CMD par run karne se Ping Flood ATTACK kiya jata hai. Yaha T ka matlab hai ki veh tab tak Ping command ko run karta hai.

Jab tak time out nahi ho jata hai or yaha l ka matlab hai. Yeh load ko show karta hai. Jo hacker kisi website par dalna chahta hai. Jaise yaha 65000 bytes ko ek ping par bheja gaya hai. Normally ek Ping request 32 bytes par hi hoti hai.

Distribution Reflaction DENIAL OF SERVICE ATTACK

Distributed reflacted DENIAL OF SERVICE ATTACK ko spoofed ATTACK bhi kaha jata hai. DRDS ATTACK karne ke liye ek hacker apne target machine ya application par direct DOS ATTACK nahi karta hai.

Veh phle kisi dusre computer ke sath connection banta hai. Uske baad dusre computer ke through kisi 3rd computer ke sath connection banata hai. Is tarah se veh 3rd computer ke through apne target par DOS ATTACK karta hai

Is ATTACK mai hacker kisi dusre Computer par phle request send karta hai. Uske baad dusra computer kisi 3rd computer par request ko redirect kar deta hai. Agar hacker DOS ATTACK ko is tarah se karta hai.

Tab target WEBSITE par request 3rd computer ke through jati hai. Kisi hacker ke through nhi jati hai. Or sath hi ATTACK karne ki speed bhi badh jati hai. Kyoki 3 computers ki speed ko ek sath DOS ATTACK karne ke liye use ki jati hai.

Botnets

Botnets ke bare mai apko Malware ANYLSIS mai bhi btaya gaya hai. Ek hacker Botnet ka use karke DISTRIBUTED DENIAL OF SERVICE ATTACK karta hai. Jise DDOS ATTACK bhi kaha jata hai.

Ek hacker Botnet Virus se bahut sare Computers ko infected karta hai. Jiski vajah se kisi particular WEBSITE ya server par requests ko jada se jada send kiya jata hai. Jis vajah se Targeted WEBSITE ya Server Crash ho jata hai. 

Botnet ko internet ke through Computers mai bheja jata hai. Apne kabhi na kabhi kisi WEBSITE par download now ke option bahut dekhe honge. Or apko inhi ke through aise Botnet Virus ko apke computer mai install karvaya jata hai.

Taki kisi bade attack ko karne ke liye ek hacker apke computer ko bot ki tarah use karke DOS ATTACK kar sake. Kisi Botnet ke through kiye gaye Infected Computer ko Zombie Computer kaha jata hai.

Distributed  DENIAL OF SERVICE ATTACK

DDOS ATTACK mai ek hacker apne Targeted WEBSITE ya Server par DDOS ATTACK karne ke liye bahut sare computers ko ek sath use karta hai. Jis vajah se hacker DOS ATTACK ke through kisi WEBSITE ya SERVER ko kam time mai hi down kar pata hai

DENIAL OF SERVICE

Kyoki DISTRIBUTED DENIAL OF SERVICE ATTACK mai ek hacker  Botnet Virus ka use karta hai. Vaise to Botnet Virus ki jagah Worm Virus ka bhi use kiya ja sakta hai. Worm Virus ke bare mai apko Computer Virus mai bata diya gaya hai. Is VIRUS ka use karke ek hacker DDOS ATTACK ko karta hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko DENIAL OF SERVICE ATTACK ke bare mai pata chal gaya hoga. DOS ATTACK ek illegal ATTACK hai ise hacker apne fun ke liye jada karte hai.

India se Pakistan ki Websites oar or Pakistan se India ki websites par yeh attack bahut kiya jata hai. Lekin aap in attacks ka miss use kabhi mat kare

Agar aap kisi bade server ya website par DENIAL OF SERVICE ATTACK  karte hai. aise mai apko problem ho sakti hai. Isliye aap iska kabhi galt use mat kare .

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap humse puch sakte hai. Agar apko humare likhe posts ache lag rahe hai tab ise share jarur karen.

Thankyou

3 Comments

  1. I have been exploring for a little bit for any high-quality articles or blog posts in this kind of space . Exploring in Yahoo I eventually stumbled upon this site. Reading this info So i’m happy to express that I have a very good uncanny feeling I discovered exactly what I needed. I most no doubt will make sure to don’t omit this web site and provides it a look on a constant basis.

1 Trackback / Pingback

  1. What Is A Denial Of Service Attack | News: U.S. and World News Headlines

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*