What is STEGANOGRAPHY and How to Hide messages?

Ajj apko is article mai What is STEGANOGRAPHY, Types of STEGANOGRAPHY ke bare mai detail mai bataya jayga. Yeh kuch greek words se milkar bana hai.

Jisme STEGANO ka matlab cover karna hota hai or graphy ka matlab writing hota hai. Jab hume kuch apni important information kisi ko send karni hoti hai. Tab iska use kiya jata hai. Yeh ek aisi techniques hai jiska use kar hackers se apne important message ko bachane ke liye kiya jata hai.

STEGANOGRAPHY

Iska use karke hum apni koi bhi aisi information jo bahut important hai or hum chahte hai ki veh kisi ko nahi pata chalni chahiye. Tab aise mai apni information ko image ya video mai hide karke bhej sakte hai.

Agar phir bhi kisi hacker ko apki veh file mil bhi jati hai. Veh tab bhi use open nahi kar sakta hai kyoki uski key uske pass hoti hai.

Jaise maan lijiye ki apne apni kuch private information gmail ke through kisi user ko send karni hai. Or agar apka message sniffing ke through capture bhi kar liya jata hai. Aise mai hacker apka message asani nahi dekh sakta hai kyo ki veh plane text mai hota hai.

Lekin agar aap usi information ko STEGANOGRAPHY ke through kisi image ya video mai hide karke bhejte hai. Agar tab veh kisi hacker ko mil bhi jati hai tab veh use asani se nahi padh sakta hai.

STEGANOGRAPHY ka pahli bar use Johannes Trithemius  ke through kiya gaya tha. Jinhe The Father of STEGANOGRAPHY bhi kaha jata hai. Iska use bahut time se kiya ja raha hai. Lekin pahle ke time mai iska use alag tarike se kiya jata tha or ab alag tarike se kiya jata.

Aaj ke time mai pahle ke methods ka use nahi kiya jata hai. Kyoki aaj ke time mai har chij digital ho gayi hai or jadtar crimes bhi digital hote hai. Isliye iska use bhi online hi kiya jata hai chaliye kuch methods ke bare mai jante hai.

How to use STEGANOGRAPHY in Past

  • Pahle ke time mai iska use Piegens ke through kiya jata tha
  • Pahle ke time mai iska use kisi person ke Shoes sole mai message ko chupa kar bhi bheja jata tha
  • Kisi tarah ke electronic device ke andar message ko hide karke or use vapis se jod kar bhi iska use kiya jata tha
  • Apne secret message ko Women,s earring mai chupa kar bhi bheja jata tha.
STEGANOGRAPHY

ALSO READ

DENIAL OF SERVICE(DOS) ATTACK

SESSION HIJACKING

SYSTEM HACKING

COMPUTER VIRUS

Technique of STEGANOGRAPHY 

Aaj ke time mai pahle ke methods ka use nahi kiya jata hai. Aaj ke time mai kuch tools ki help ae Secret message ko apne target.

Jaise ek Plane text hai us par likha hai. Freelearningtech tab maan lijiye yeh ek secret message hai or aap chahte hai. Yeh message kisi galat hath mai nahi padna chahiye

Aise mai STEGANOGRAPHY tools ke through plane text ko image mai hide karke apne target tak bheja jata hai. Or image mai se secret message ko nikalne ke liye Key apke pass hoti hai. Or apke target ke pass hogi.

Jis vajah se agar apka bheja gaya message ko nikalne ke liye Key ki jarurt hogi. Agar veh key nahi hogi tab veh kuch attacks ke through apke Secret Message ko Crack karne ki koshish karta hai.

STEGANOGRAPHY

STEGANOGRAPHY ke use se hum kisi bhi tarah ki files ko hide karke apne target tak send kar sakte hai. aap text message ko hide karke bhej sakte hai. kisi image ko hide karke bhej sakte hai , kisi tarah ki audio ya video mai bhi hide karke bhej sakte hai.

Uses of STEGANOGRAPHY?

STEGANOGRAPHY ka use White hat Hacker or Black hat hacker dono hi karte hai. Hackers apne Malcious Code ko kisi image mai hide karke apne target tak pahcha deta hai.

Jaise maan lijiye apke pass kisi tarah ki achi dikhne vali image ati hai or hacker ne apna malcious code hide kiya hua hai. Aap jaise hi veh image ko download karte hai ya open karte hai. Tab aise mai background mai hacker ke through bheja gaya malcious code run ho jata hai.

STEGANOGRAPHY ka use terrorist apne secret message ko ek place se kisi dusre place tak bhejne ke liye bhi karte hai.

Iska use karke ek hacker illegal tarah ke message ko kisi normal video ya image mai hide karke ek jagah se dusri jagah tak bhi bheja ja sakta hai.

Disposable gmail and Password protected gmail

Iska use hum hackers se apne data ko safe rakhne ke liye karte hai. Jaise apko agar gmail ke through apna koi important data send karna hai.

Tab aap disposable gmail ka use kar sakte hai. Yeh gmail ke through jab aap koi mail karte hai. Tab apke destination ke padne ke bad apka send kiya gaya mail automatic hi delete ho jata hai. Or isi tarah aap password protected gmail bhi send kar sakte hai.

Apke through bheja gaya mail tab tak open nahi hoga. Jab tak apke through diya gaya password kisi ko nahi pata hoga STEGANOGRAPHY  mai iska us bhi kiya jata hai

Tools for STEGANOGRAPHY
 

XIAO STEGANOGRAPHY 

QUICKSTEGO

STEGOSPY

OPEN STEGO

STEALTH

Agar hacker ko kisi image mai kisi tarah ke pdf file ko hide karna hota hai. Tab yeh kaam command prompt ke through bhi kiya ja sakta hai. Jaise ki apko pata hai ki hacker virus ko bhi pdf files mai hide kar sakte hai.

Aise mai agar kisi hacker ne virus ko pdf format mai bana kar kisi aise image mai hide kar diya. Jo apko chahiye aap jab us infected image ko download karte hai ya kaise bhi pdf file ko download karte hai.

Tab apke computer ya mobile phone mai virus bhi a sakta hai. Yeh kaam social engineering ke through kiya jata hai.

Chaliye in command ke bare mai jante hai. Jaise ek image ka naam hai freelearningtech.jpg or pdf file ka naam hai freelearningtech.pdf. Ab is pdf file ko image mai hide karne ki commands kuch si tarah hoti hai.

COMMANDS 

sabse pahle apko pdf file ko winrar file mai convert karna hota hai.

copy  /b freelearning.jpg + freelearningtech.rar freelearningnew.jpg

Normally apke through bnayi gayi image normal hi open hogi.

Agar apko yeh dekhna ho ki jo apne pdf file ko image mai hide kiya hai. Tab aisa karne ke liye apke through bnayi gayi new image ko open with winrar karte hai. Tab apko apke through hide ki gayi files show ho jati hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko STEGANOGRAPHY ke bare mai ache se pata chal gaya hoga. Aap iska kabhi miss use mat kare. Aap iska use kabhi apne maje ke liye ya kisi ko pareshan karne ke liye bhi mat kare.

Hackers se apne important information ko disposable gmail ya password protected gmail ka bhi use kiya ja sakta hai. Agar apka STEGANOGRAPHY  ke bare mai koi bhi question hai. Tab aap humse puch sakte hai agr apko yeh post achi lage tab aap ise jarur share karen

Thankyou

4 Comments

  1. Hi there, simply became aware of your weblog thru Google, and found that it’s really informative. I am going to be careful for brussels. I’ll appreciate when you proceed this in future. Numerous other folks might be benefited from your writing. Cheers!

  2. Thanks a lot for sharing this with all of us you actually know what you are talking about! Bookmarked. Kindly also visit my website =). We could have a link exchange arrangement between us!

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*