Aaj hum apko is post mai bank account hacking ke bare mai btayege. Kaise hackers bank account hacking karte hai. Kaise aap apne bank account ko safe rakh pate hai.
Lekin aap in techniques ka use kbhi mat kare. Kyo ki yeh puri tarah se illegal hai. Isliye aap aisa kabhi mat kare vaise to yeh sab ek hacker par depend hota hai. Veh kaise kisi ke bank account ko hack karte hai.
Hum apko yaha kuch aise tariko ke bare mai btayege. Jinka use sabse jada kiya jata hai . Humare liye bank account hack hone ka matalb yahi hota hai ki agr koi aisa person jise hum jante nhi hai.
Veh humare account se paise niklvaye. Aise mai hum ise bank account hacking kehte hai. Yeh kaam karne ke liye Hackers bht tariko ka use karte hai.

Note: This post only for educational purposes don’t miss use your knowledge and skills
Also Read
what is IOT Hacking and IOT Devices?
What is Session Hijacking attack?
Methods of Bank account Hacking
Mobile banking application
Kisi normal user ke bank account hacking karne ke liye sabse jada isi technique ka use kiya jata hai.
Kyo ki in apps par normal user ko trust rehta hai. Isliye is technique se bank account hacking karna kisi hacker ke liye jada mushkil nhi hota.
fake apps
Jaise ki hum sabko pata hai ki sabhi banks ke apne apne apps hai. Jo play store par asani se mil jate hai. Vaise to playstore par is trh ke apps ko allow nhi hote hai. Lekin phir bhi fake apps ke through bank account ko hack kiya jata hai.
Jaise maan lijiye ek normal user ka bank account hai state bank ka. Ab aise mai play store par state bank ka app bhi apko jrur dekhne ko mil jayga. Aise mai hacker ya to third party websites ke through is trh ke apps ko internet par rakhte hai.
Jab koi user use install karta hai tab bank account hacking ko anjam diya jata hai. Ya ab jaise ek normal user ko pta hai ki kisi third party websites se is trh ke apps ko install karna nhi hota.

Aise mai hacker play store par app ko upload karta hai. Lekin veh us app ka name change kar deta hai. Jis vjh se veh app play store par published ho jata hai.
Aisa mai apne experience par bol raha hu playstore par kuch time ke liye aise apps ko published kiya ja sakta hai. Lekin veh app kuch time mai remove ho jata hai.
Lekin ik bar published hone ke bad hacker apne victim ko real app se fake app par redirect kar sakta hai. Is tarah se fake apps ke through hackers kisi ke bank account hacking kar sakte hai.
Mobile Trojan
Trojan ke bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Yeh ek aisa virus hai jo kisi bhi device mai agr hota hai. Tab hacker us device ko remotely access kar sakta hai.
Aap iske bare mai detail mai Computer Virus ke article mai padh sakte hai. Jaise agr kisi hacker ne ek trojan virus ko victim ke device mai install karvana hai. Tab hacker aisa bht tariko se kar sakta hai.
Jaise footprintng ke through ,social engineering ke through, hacker victim ke mobile phone mai trojan ko install karva sakta hai. Ab aise hai trojan ke through hacker victim ke mobile mai ane vale messages ko bhi read kar sakta hai.
Or uska phone bhi access kar sakta hai. Ab bank ke through ane vale messages ko bhi received kiya ja sakta hai. Aise mai bank account hacking ko anjam diya ja sakta hai.
Phishing Attack
Phishing attack ke bare mai apne bht bar suna bhi hoga. Lekin Facebook hacking ko karne ke liye hi shayd apne iska use kiya hoga. Lekin Phishing attack ka use bahut jagah kiya ja sakta hai.
Yeh sab ek hacker par depend karta hai ki veh kis tarah se Phishing ka use karta hai. Aisa karne ke liye hacker ko Port forwarding, Social engineering or footprinting ke bare mai pata hona chahiye. Phishing attack mai hacker jaise Facebook jaise login page ko bnata hai.

Aise hi hacker kisi bank ki website ka bhi phishing page bna sakta hai. Or real website se apni website par redirect karva sakta hai. Aise mai bhi kisi ke bank account hack hone ke chances hote hai.
Jaise ki bank ki website mai ek user account bhi banta hai. Ab user account agr kisi hacker ke pass hota hai. Tab veh uske through kya kar sakta hai ye aap khud samjh sakte hai.
Lekin aisa karne ke liye hacker ko programming languages ki knowledge honi chahiye. Tabhi veh website ke pages ko bna sakta hai is tarah se Phishing attack ka bank account hacking mai use kiya jata hai.
Keylogger
Iske bare mai apko WhatsApp hacking mai bhi btaya gaya hai. Keylogger ki help se hacker kis tarah se keystrokes ko record kar sakta hai. Aise hi bank account hacking mai bhi keylogger ka use kiya jata hai.
Jaise keylogger ki help se key ko record kiya jata hai. Aise mai agr kisi user ke device mai keylogger hai tab veh kuch bhi type karta hai. Aise mai keystrokes ki ik file banke direct hacker ke pass chali jati hai .
Ek normal user bank ki website par jab login password fill karega. Aise mai veh bhi record ho jata hai. Is tarah se hacker ke pass keys ka record chala jata hai. Aap WhatsApp hacking ke article mai keylogger ke bare mai padh sakte hai.
Mitm Attacks
MITM Attacks ka pura naam man in the middle attack hota hai. Yeh attack ka bahut jagah use kiya jata hai. Iska use bank account hacking mai bhi kiya jata hai. Mitm attack mai hacker apne victim ko redirect kar deta hai.
Is attack ko karne ke liye hacker or victim ka same network mai hona jruri hota hai. Jaise maan lijiye ek normal user hai. Veh bank ki website par hai or aise mai agar hacker bhi usi same network mai hota hai. Tab hacker victim ko apni kisi website par redirect karva sakta hai jaha vo chahta hai.

Ab veh website ik phishing website bhi ho sakti hai. Ya kisi tarah ka trojan download karvane ke liye bhi hacker normal user ko redirect karva sakta hai. Mitm attack ka use karne ke liye hacker ko bahut attacks ko ik sath use karna padta hai.
Jaise ki humne apko btaya hai ki yeh hacker par depend karta hai. Veh kisi attack ko karne ke liye kitne methods ka use kar sakta hai. Aise hi yeh bhi hacker par depend hai ki veh MITM attack ka use kis tarah se karta hai.
Sim Cloning
Iske bare mai apko WhatsApp hacking mai btaya gaya hai . Sim card cloning ki help se kaise hackers kisi ke WhatsApp account ko hack kar sakte hai. Aise hi sim cloning ka use karke hacker kisi ki sim ko clone karke bhi bank account hacking ko kar sakte hai. Iske bare mai detail mai aap jarur padhe.
SS7 Attack
Iske bare mai bhi apko pahle btaya gaya hai. Hackers SS7 Attack ka use karke bahut Tarah ki illegal hacking ko anjam de sakte hai. Jaise carding, WhatsApp hacking, bank account hacking or bhi bahut Tarah ki hacking ko SS7 Attack ka use karke kiya ja sakta hai. Iske bare mai aap padh sakte hai apko phle btaya gaya hai
vai wifi
Aap yahi soch rahe hoge ki wifi ke through bank account hacking ko kaise kiya ja sakta hai. Chaliye hum apko btate hai. Jaise ki maine apko btaya hai ki agar hacker or ek normal user same network mai hota hai.
Tab veh kis kis tarah ke attacks ko kar sakta hai. Aise hi agar hacker bank ke wifi ko crack kar leta hai. Tab aise mai aap khud soch sakte hai ki hacker kitne bank account ko hack kar sakte hai.
WiFi hacking ke bare mai apko pahle btaya gaya hai. vaise to bank ke complete network ko hmesha monitor kiya jata hai. Lekin phir bhi aise bahut sare banks hai jinke network ko monitoring nhi Kiya jata hai.
Is tarah se hackers ek sath bahut sare bank account ko hack kar sakte hai. Yeh kaam black hat hackers hi karte hai. Kyoki yeh kaam puri tarah se illegal hai.
vai fake mail
Fraud mail ke bare mai apko pahle bhi btaya gaya hai. Kaise hackers fake mail ke through credit card ki information ko collect kar sakte hai. Aise hi iska use bank account hacking mai bhi Kiya jata hai. Aap iske bare mai carding ke article mai jrur padhe.
Fake mail ka use bahut jagah or bahut alag alag techniques se kiya ja sakta hai. Jaise ki apko btaya hai ki kisi bhi tarah ki hacking ko karna ek hacker par hi depend karta hai .

fake call from bank
Fraud call ka bank account hacking mai bht jada use kiya jata hai. Apke pass bhi kabhi na kabhi jrur bank ke through phone aya hoga. Apki lottery lagi hai ya apka debit card ki date expired ho gayi hai.
Is tarah ki fraud calls karke hackers apse apke mobile number par aya hua otp le lete hai. Or apke paiso se online transaction kar lete hai. Vaise to jadatar iske bare mai sabko pata hota hai ki kabhi bhi bank se aise call nhi ati hai Otp ke liye.
Lekin phir bhi humare india mai aise bahut log hai. Jinko iske bare mai nahi pata hai. Or veh aise hi fraud call ki vajah se apne bank account hacking mai fas jate hai.

How to make sure your bank account is safe from Hackers ?
1.Hume kabhi bhi aise third party websites se kisi tarah ke apps ko install nahi karna chhaiye. Or agar hum playstore se bhi kisi app ko install karte hai. Tab bhi Hume app rating or app review check karke hi karna chahiye.
2. Apni information ko kabhi open ya free wifi mai fill nahi karna chahiye. Aisa karne se Mitm attacks or phishing attacks kiye ja sakte hai. Sath hi aap jab bhi koi website ko open karna chahte hai. Tab khud se hi type karke open kare kisi person ke bheje gaye link par click karke mat kare.
3. Kabhi bhi kisi tarah ke call ane par apni bank account or apne debit ya credit card ki information ko nahi btana Chahiye.
4. Unsecured website par apni information ko kabhi fill mat kare. Aisa karne se apke bare mai footprinting ke through information collect ki ja sakti hai.
5. Sim Cloning se bachne ke liye aap us sim ko hmesha safe rakhe. Jis sim par apke bank ke through otp ata hai. Ya agr aap Kabhi use fekna bhi chahte hi tab use puri tarah se break karke hi feke.
The Conclusion
Main ummed karta hu ki apko bank account hacking ke bare mai ache se pata chal gaya hoga. Aisa nahi hai ki hacker bank account hacking karne ke liye bas inhi technique ka use karte hai.
Jaise ki apko btaya hai ki hacker par depend karta hai ki veh kaise or kis tarike se bank account hacking ko anjam dete hai. Ik sath kayi attacks ko karke bhi bank account hacking ki ja sakti hai. Aap kabhi aisa koi illegal kaam mat kare jise apko problem ho
Kyoki kisi ke bank account ya bank ke network se kisi bhi tarah se bina permission ke koi activity karna ik cyber crime hota hai. Aisa karne se apko problem face karni padh sakti hai. Isliye aap aisa kabhi mat kare. Yeh sab apko sirf educational purposes ke liye btaya gaya hai.
Lekin aap is knowledge ka galt use mat kare. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap humse comment box mai puch sakte hai. Humari posts ko sabse pahle padhne ke liye humare blog ko subscribe bhi jarur karen.
Osm Post bro
THANKS FOR ADVICE!
Very interesting details you have remarked, thankyou for posting.