How to install Bwapp and DVWA in Kali Linux?

Is article mai hum apko DVWA or Bwapp ke bare mai practically btayege. Jaise How to Setup DVWA and Bwapp, How to install DVWA In Kali linux and How to install Bwapp.

DVWA or Bwapp dono hi aise platform hai jaha website hacking ki practice ki ja sakti hai. Owasp bhi hai Owasp ke bare mai apko age bata diya jayga.

Yaha hum apko DVWA or Bwapp ko setup karna bata rahe hai. Yeh sab jane ke baad aap DVWA or Bwapp ko windows or kali linux mai setup kar payege.

Yeh apko isliye btaya ja raha hai kyoki ise age ane vali posts mai apko web pentesting btayi jayegi.

Also Read

How to crack RAR and PDF password ?

Tab napping attack for facebook hack ?

How to hack facebook using batch file ?

How to install DVWA in Windows ?

DVWA ko windows mai install karne ke liye apko xampp or DVWA portal ki jarurt hogi. Yeh dono easily mil jate hai. Yaha bhi apko Download karne ka option mil jayga.

Hum apko Xampp install karna nahi bata rahe hai. Kyoki yeh simple hai Hum apko DVWA Ka setup karna bata rahe hai.

Hum yeh maan kar chalte hai ki apne Xampp or DVWA ko download kar liya hai or Xampp Install kar liya hai. Sabse pahle Xampp server ko run karna hoga.

Sabse pahle apko DVWA ko Xampp mai htdocs mai lana hoga. Yeh sab karne ke baad Config folder mai apko ek file milti hai kuch is tarah.

Iske baad file ko rename karna hoga or .dist ko htana hoga . Yeh sab karne ke baad is file ko notepad mai open karna hoga or password ko blank rakhna hoga kuch is tarah

Password ko blank karne ke baad aap file ko save karde. Yeh sab karne ke baad Browser mai localhost/dvwa/ press enter yaha aap dvwa ki jagah apne folder ka name dege.

Apke samne kuch is tarah se show hoga . Yaha Create/reset Database par click karne ke baad login page par redirect ho jayege.

Login page par redirect hone ke baad aapko Username admin dena hoga or password mai password fill karke enter karna hoga kuch is tarah.

DVWA

Yeh sab karne ke baad apke samne DVWA ka portal open ho jayga. Iske baad aap apni Website hacking ki practice yaha kar sakte hai. Yaha aapko Website mai milne vali vulnerabilities show hogi.

DVWA

How to install Bwapp in Windows ?

Jaise apko phle DVWA ko setup karna btaya gaya hai. Aise hi Bwapp ko setup karna bhi btaya ja raha hai.

Sabse pahle aap Bwapp ko download karle uske baad jaise Bwapp ko localhost mai setup kiya hai vaise hi Bwapp ko karna hota hai. localhost/bwapp/

Yeh sab karne se pahle apko Bwapp ke admin folder mai setting.php ki file milegi vaha password ko blank karke save karna hoga. kuch is tarah

bwapp

Iske baad Browser mai type karna hoga localhost/bwapp/install.php kuch is tarah . Yeh sab karne ke baad install karne ke liye page open hoga.

bwapp

Bwapp ko install karne ke baad login option enable ho jayaga vaha apko username mai bee likhna hoga or password mai bug likhna hoga. Security level bhi aap apne hisab se set kar sakte hai. Kuch is tarah

DVWA

Bwapp mai login karne ke baad apke samne Bwapp ka portal open ho jayga. Bwapp mai apko DVWA se jada vulnerabilities test karne ke option mil jate hai. kuch is tarah

Yaha aap scroll down karke dekh sakte hai. Apko bahut tarah ki vulnerabilities yaha mil jayegi . Jaha aap apni practice ko kar sakte hai. Yeh dono platforms bnaye hi web Pentesting ke liye hai.

How to Install DVWA and BWAPP in Kali Linux?

DVWA or BWAPP ko kali Linux mai install karne ki processing same hi hoti hai. DVWA mai apko ho sakta hai kuch problem a sakti hai Database ko lekar. Veh bhi apko yaha bata di jayegi. Sabse pahle aapko kuch commands run karni hoti hai kuch is tarah

DVWA

Yeh sabhi commands apko isliye btayi gayi hai . Kyoki aap jante hai Kali Linux mai jadtar sabhi kaam commands se hi hote hai. config file ko folder mai jakar bhi edit kiya ja sakta hai. Aise bhi aap edit kar sakte hai. Yeh sabhi commands run hone ke baad apke samne config file open ho jayegi.

Aise bhi aap edit kar sakte hai. Apko jaise sahi lagta hai aap vaise edit kar sakte hai lekin (chmod -R 777 DVWA/) yeh command dekar apko full permission jarur deni hoti hai.

Yeh sab karne ke baad aapko kuch commands deni hoti hai

Service apache2 start

Service mysql start

Yeh command run karne ke baad Browser mai vaise hi DVWA ko open karna hota hai. Jaise apko windows mai btaya gaya hai. Lekin apke samne agar kuch is tarah ki error ati hai. Aise mai apko kuch commands ko run karna hota hai.

Agar apke samne bhi is tarah ki error ati hai tab apko yeh commands ko run karna hoga. Aisa bhi ho sakta hai yeh error apko nahi mile.

Lekin agar milti hai tab apko yeh setup karna hota hai. DVWA ke readme.md file mai bhi iske bare mai likha hua hai. Aap vaha se bhi padh sakte hai.

DVWA

Yeh commands run karne ke baad jab browser mai create/Reset Database karte hai tab apko error nahi milega or aap Login kar payege.

Bwapp ko install karna hota hai sabhi process same hoti hai bas chmod -R 777 Bwapp/ Yeh command use hoti hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko DVWA or Bwapp ki installation pata chal gayi hogi. Yeh sab apko isliye btaya gaya hai. Kyoki ane vali posts mai apko Website hacking ke practical articles dekhne ko mil jayege.

Agar aap bhi Ethical Hacking sikhna chahte hai. CEH ke sabhi topics apko is Website par bataye ja rahe hai. Aap bhi humare blog ko share jarur karen. Apko sabhi chije free of cost btayi ja rahi hai.

Sharing is caring

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*