How to Use Tor Browser and Tails OS ?

Tor browser ka use karne se pahle apko kuch bato ka dhyan rakhna chahiye yaha apko unke bare mai bhi btaya ja raha hai.

Hum yaha apko onion links ko bina Tor Browser ke open karna bhi bata rahe hai.Yeh sab apko yaha practically btaya ja raha hai.

Aap Tor Browser ka use karke kisi tarah ki illegal activity ko kabhi mat karen. Yeh sab apko educational purpose ke liye btaya ja raha hai.

Apko Tor Browser ke links google se mil jate hai. Jaise normally kisi website ke url mai .com , .in, .co.in aise hota hai. Lekin Dark Web ya Deep web ke links mai .onion hota hai.

Note- This article is only for educational purpose. Don’t miss use your knowledge and skills.

Also Read

Website Hacking

Whatsapp hacking methods

Facebook Hacking methods

What is Tor Browser ?

Jaise ki hum sab jante hai Tor Browser kya hai or iska use kyu kiya jata hai. iska use karke Dark Web, Deep Web jaisi jagah par jaya jata hai. Jadatar sabhi itna hi samjhte hai.

Lekin yeh sab kaise work karta hai yeh bahut hi kam log jante hai. Dark web par jab hum kisi bhi website ko open karte hai to yeh IP Address ki layers bnata hai.

Tor Browser ko vaise hi install kiya jata hai jaise hum normally kisi software ko install karte hai. Yaha aap apna Proxy server ka bhi use kar sakte hai.

Yaha aap chahe to direct connect kar sakte hai ya configure par jakar apna Proxy server add karke bhi iska use kar sakte hai. Yeh kuch is tarah se aap add kar sakte hai.

Yaha apko option mil jata hai yaha aap add karke bhi iska use kar sakte hai. Aap chahe to direct connect karke bhi iska use kar sakte hai. Yeh connect hone mai thoda sa time leta hai.

Tor Browser

Aap ise puri tarah se connect hone de tabhi aap iska use kar sakte hai. Tor Browser ko full screen mai use nahi karna chahiye isliye yeh jaise open hota hai aap vaise hi iska use kar sakte hai.

Tor Browser

Yeh kuch is tarah se apke samne open ho jayga. Open hone ke baad yeh IP Address ki layers bnata hai. Yaha aap jab My Ip likh kar search karte hai to IP address change rehta hai.

Tor Browser

Yaha aap Dekh sakte hai normal browser mai IP address alag hai or Tor Browser mai ip Address alag hai. Aap yaha Ip ki layers ko bhi dekh sakte hai. SSL Icon par click karke.

How Tor browser Works ?

Tor Browser three nodes par work karta hai .Entry node , Middle node , Exit node aap jab Tor Browser par kuch bhi search karte hai to apka data travel inhi nodes se hota hai.

Yaha apka data Entry node or middle node mai to encryption rehta hai lekin Exit node mai apka data decrypt ho jata hai. Isliye apka data ka miss use bhi ho sakta hai.

Jaise maan lijiye apne google.com ko open kiya hai. Aise mai yeh request entry or middle node par to encrypt hogi lekin Exit node par decyrpt ho jati hai.

Tor Browser apne servers ka use nahi karta hai yeh volunteer servers ka use karta hai yeh servers koi bhi bana sakta hai. Isliye apko yaha kabhi apni personal information fill nahi karni chahiye.

How to use Tails OS ?

Tails OS ke bare mai apko pahle bhi bataya gaya hai. Yeh Ek operating system hai jo Tor Network par work karta hai. Apko iski ISO File google par easily mil jati hai.

Yeh ek Command based Operating system hai. Tor Browser apko iske andar pahle se hi inbuilt milta hai. Aap jab iska use karte hai to yeh apse password mangta hai. Kuch is tarah.

Yaha aap dekh sakte hai pahle se hi isne ek IP address ka use kiya hua hai. Yeh Complete OS Tor Network par hi work karta hai. Yaha humne purana Tails OS use kiya hai. Aap hmesha new version hi use karen.

Tails OS

Tails OS ka interface kuch is tarah hota hai. Yaha aap application mai jakar dekh sakte hai apko jitne bhi options yaha milte hai aap un sabhi ka use kar sakte hai.

Tails OS

How to open onion links without Tor Browser ?

Chaliye ab hum apko btate hai Dark Web links ko bina Tor Browser ya Tails os ke kaise open kar sakte hai. Aisa karne ke liye apko skyzip proxy extension ko browser mai install karna hota hai.

Yeh apko google par search karte hi mil jati hai. Yaha bhi apko link de diya jayga. Apko bas use Google Chrome mai install karna hota hai. Install karne ke baad aap onion links ko open kar sakte hai.

Tor Browser

Yaha aap image mai dekh sakte hai without browser ise open karne par yeh error milti hai. Lekin aap jab ise install kar lete hai tab aap .onion links ko bina Tor ke hi open kar sakte hai.

Tor Browser mai apko kabhi bhi kuch bhi install nahi karna chahiye. Yaha apko kabhi apni personal information ko fill nahi karna chahiye. Aap yaha kisi tarah ki illegal activity mat karen.

Yaha apko sabse jada scam or fraud dekhne ko milte hai. Isliye aap yaha kabhi nahi pata kar sakte hai kon yaha genuine hai or kon scammer hai. Isliye aap yaha se kuch buy mat karen.

Agar aap Tor Browser ka use karke kisi tarah ki illegal activity jarte hai to aise mai exit nodes ki vajah se trace bhi kiye ja sakte hai. Aap iska use educational purpose ke liye hi karen.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Tor Browser or Tails OS ke bare mai pata chal gaya hoga. Yaha humne apko onion links ko without Tor Browser ke kaise open kiya jata hai yeh bhi btaya hai.

Aap Tor Browser ka use kisi tarah ki illegal activity ko karne ke liye kabhi mat karen. Yaha apko bahut jada scammers or fraud milte hai. Yaha payment bhi Bitcoin mai receive ki jati hai.

Bitcoin ke bare mai apko pahle bhi bataya gaya hai. Yaha iski kuch settings bhi hoti hai jinka use karke safe surfing bhi ki ja sakti hai. Lekin exit nodes ko band nahi kiya ja sakta hai.

Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai to aap comment mai puch sakte hai. Main umeed karta hu ki aap iska use kisi illegal purpose ke liye nahi kareange.

Agar apko humara yeh article acha lagta hai to ise share jarur karen. Yaha hum 100 se jada hacking related articles ko upload kar chuke hai. Apko yaha sab free sikhne ko mil jata hai.

Sharing is Caring

Thankyou

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*