Android Hacking ( How to Hack Android)?

Agar aap bhi How to hack Android ke bare mai research kar rahe hai. Tab aap bilkul sahi jagah par hai. Aaj hum apko Android Hacking , Iphone hacking ,windows Mobile Hacking ke bare mai detail mai btayege. Kisi bhi Mobile ko hack karne se pahle ek hacker ko vulnerability or Operating System ke architecture ke bare mai jana jaruri hota hai.

Jaise agar hacker ko Android phone hack karna hai. Ya use hacking se bchana hai tab android os ki knowledge honi chahiye. Aise hi agar Iphone ko hack karna hai tab IOS ki Knowledge honi jaruri hoti hai.

Note- This Post only for Educational purpose You don,t miss use Your Knowledge and Skills

Also Read

Whatsapp Hacking

What is Carding ?

How hackers hack your bank account ?

What is Cryptography and their types ?

Android OS Architecture

Kabhi bhi Android Hacking karne se pahle hacker ko Android OS ke bare mai pata hona chahiye. Android OS Architecture mai 4 stages hoti hai.

Application

Application Framework

Libraries

Linux Kernel

Application

Ek Mobile phone mai jitni bhi apps hoti hai. Veh sabhi Applications hoti hai. Phir chahe veh Browser ho ya phir SMS ya Camera unhe applications hi kaha jata hai. Jinhe hum playstore se download karte hai. Humare phone mai use ki jane vali sabhi apps applications kehlati hai. In applications ki vajah se bhi kabhi kabhi Android Phone Hack kiye ja sakte hai.

Application Framework

Framework veh hota hai jin par yeh Application apna kaam karti hai. Sabhi tarah ki Applications ke liye alag alag types ke Applications framework hote hai. Jaise maan lijiye Contacts ki application hai tab yaha telephone manager ka use hota hai.

Kisi tarah ka browser ki application hai tab yaha Content provider framework use hota hai. Isi tarah sabhi types ke applications ke liye alag alag tarah ke framework hai. Jo predefined hote hai. Jaise Activity manager, Resource Manager, window Manager, Location manager etc

Libraries

Libraries unhe kaha jata hai. Jis form mai sabhi applications kaam karti hai har tarah ki applications ko kaam karne ke liye Library ki jarurt hoti hai. Jis tarah windows mai kuch software ko jab hum install karte hai. Tab humare pass java run time error ya kisi tarah ki dll file error show hoti hai. Isi tarah Android Phone mai bhi Libraries hoti hai. Jinke bina Applications apna kaam nahi kar pati hai. Jaise Dalvik Virtual machine , SSL , Surface Manager, Media Framework , etc

Linux Kernel

Linux Kernel mai sabhi applications ke drivers hote hai jis tarah se hum jab window installation karte hai. Tab hume driver bhi karne hote hai. Jaise windows mai wifi ka alag driver hota hai , chipset ka alag driver hota hai. Aise hi android mai sabhi application ke alag drivers hote hai. Jin par sabhi application sahi se apna kaam kar pati hai.

Yeh driver Linux kernel mai hote hai. Yeh pura Architecture samjhe bina Android Hacking nahi ki ja sakti hai. Hacker iske bina bhi Android Hacking kar sakte hai. Lekin use yeh nahi pata hoga ki usne ji attack ko perform kiya hai. Veh kaise kaam kar raha hai or kise effect kar raha hai.

How hackers hack Mobile Phones ?

Bluetooth agar apke phone mai enable rehta hai aise mai bhi hacker ke through Bluebugging, Bluesnarfing jaise attack ka use karke Android hacking ko kiya ja sakta hai. Iske bare mai apko pahle hi bata diya gaya hai aap use bhi jarur padhe. Read more

Wifi ke through bhi Android phone ko hack kiya ja sakta hai. Agar apka Wifi hi vulnerable hai ya phir hacker wifi hack karke apke network mai enter ho jata hai. Tab bhi veh apke phone ko hack kar sakta hai Read more

Applications ke through bhi Android Hacking ko kiya ja sakta hai. Jaise maan lijiye aap kisi tarah ka app playstore se download nahi karte hai or kisi third party website se download kar lete hai.

Aise mai veh agar kisi tarah ka Trojan virus hota hai. Tab hacker social engineering ke through veh virus apke phone mai install karva kar apke mobile phone ko hack kar sakta hai. Inke bare mai apko pahle hi bata diya gaya hai aap unhe bhi jarur padhe

SMS Phishing ke through bhi Android Hacking ko kiya ja sakta hai. Phishing attack ke bare mai apko pahle hi btaya gaya hai. SMS Phishing mai phishing attack ko SMS ke through kiya jata hai . SMS ke through kisi tarah ka lalch deker user ko kisi tarah ki apk ya kisi type ki website par redirect kar diya jata hai. Ab veh apk kisi tarah ka virus bhi ho sajta hai or jis website par user ko redirect kiya gaya hai. Veh kisi tarah ki hacker ke through bnayi gayi aisi website bhi ho sakti hai. Jaha hacker ne apne malcious code ko inject kiya hota hai. Is tarah se bhi Android Hacking ko kiya ja sakta hai.

Sandbox

Yeh ek tarah ka aisa System hota hai jo kisi app ko permission deta hai. Jaise apne dekha hoga jab aap kisi app ko install karte hai. Tab veh app kuch permission ko mangta hai. Yeh Sandbox ke through hi hota hai ab hacking mai iska use hacker Sandbox ko bypass karke kar sakte hai. Jaise maan lijiye ek app hai use limited permission hi mili hai.

Agar veh app vulnerable hota hai tab hacker Sandbox ko bypass karke Android phone ki sabhi permission ko access kar sakta hai. Is tarah se Sandbox ko bypass karke Android Hacking ko kiya ja sakta hai. Hacker ko yeh karne ke liye apps ki achi knowledge honi chahiye. Sath hi Programming Language ki bhi achi knowledge honi chahiye.

Rooting

Apne kabhi na kabhi root ka naam jarur suna hoga ho sakta hai. Apne bhi kabhi na kabhi apne mobile phone ko root bhi jrur kiya hoga. Lekin apko shayd yeh nahi pata hoga. Agar apka mobile phone rooted hai tab use asani se hack kiya ja sakta hai. Kyoki kisi bhi Android phone ko root karne matlab hai. Aap apne phone ki sabhi security ko bypass kar rahe hai. Ek Rooted phone khule hue locker ki tarah hota hai .

Android Hacking

Kisi hacker ke samne agar khula hua locker hoga. Tab veh apke data ko jarur churata hai. Root karne ke fayde bhi hai or nuksan bhi hai. Rooted phone mai aap Hacking apps ka use kar sakte hai. Apne mobile phone ke Framework ko change kar sakte hai.

Lekin sabse bada nuksan hai ki apke data ko asani se chuaray ja sakta hai. Apke phone ki bhi khatam ho jati hai. Isliye aap kabhi apne phone ko root mat kare. Agar aap aisa karte hai tab apke phone ke hack hone ke chances bhi badh jate hai.

Apple IOS

Iphone Hacking ke liye IOS Structure ko samjhna jaruri hota hai. Iphone Hacking ke methods bahi hote hai jo Android Hacking ke hote hai. Lekin Iphone ki Security high hoti hai isliye Iphone Hack karna mushkil hota hai. Lekin aisa nahi hai ki Iphone Hack nahi hote hai.

Android Hacking

Iphone Architecture

Application

Ulkit (Core Framework)

Media

Core Services(Core Framework)

Core OS

Jailbreaking

Jis tarah se Android Hacking mai rooting hota hai usi tarah se Iphone Hacking mai Jailbreaking hota hai. Jailbreaking agar kisi IOS ki karte hai. Tab hacker use asani se hack kar sakte hai. Jailbreaking hone par IOS kernel ko modified kiya ja sakta hai. User kisi third-party- sites se apps ko install kar sakte hai .

Android Hacking

Iphone os ka access mil jata hai tab sabhi security bypass ho jati hai. Jis tarah se Rooting ka nuksan hai. Android Hacking mai thik isi tarah se jailbreaking ka nuksan hota hai. Isliye aap kabhi Iphone ki Jailbreaking mat kare aisa karne se apke data ko nuksan ho sakta hai.

Types of Jailbreaking

Userland Exploit

Userland Exploit Jailbreaking mai user-level access milta hai lekin iboot-level access nahi milta hai.

iboot Exploit and Bootrom Exploit

iboot or Bootrom Jailbreaking mai user-level or iboot-level dono access mil jata hai.

Jailbreaking techniques

Untethered Jailbreaking

Untethered Jailbreaking mai Jailbreaking tab tak hoti hai. Jab tak device ko off karke reboot nahi kiya jata hai. Asan language mai agr kahe ki apne time ke hisab se Untethered Jailbreaking ki jati hai. Jaise user Iphone mai Untethered Jailbreaking karta hai. Veh tab tak hoti hai jab tak device ko reboot nahi kiya jata hai or reboot hone par kernel patch ho jata hai bina kisi computer ki help se.

Semi-tethered Jailbreaking

Semi-tethered Jailbreaking mai jailbreaking ek bar hone par kernel patch nahi kiya ja sakta hai. Lekin user normal function ko sahi se use kar sakte hai. Lekin ek bar Semi-tethered Jailbreaking hone par kernel patch nahi hota hai.

Tethered Jailbreaking

Agar jailbreaking se koi device apne ap backup leta hai. Tab us device ke pass patch kernel nahi hota hai. Sath hi yeh starting mai hi ruk jata hai. Isme jailbreaking ko start karne ke liye Kernel patch ka hona jaruri hota hai. Tabhi jailbreaking ki ja sakti hai is ke liye device ko har bar dubara se start karna padta hai.

The Conclusion

Main umeed karta hu ki apko Android Hacking or Iphone hacking ke bare mai pata chal gaya hoga. Windows phone , Blackberry phones bhi hote hai. Unhe hack karne ke liye hacker inhi methods ka use karte hai.

Lekin aap inka galat use kabhi mat kare sabse jada users Android Phones ka use karte hai. Isliye Android hacking sabse jada ki jati hai. Agar apka kisi bhi tarah ka koi question hai tab aap comment mai puch sakte hai. Agar apko humare likhe article ache lag rahe hai tab aap inhe share jarur kare.

Thankyou

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*